Ye boli Beti ba hasrat Salam Lo Amma
Suno Hamari musibat Salam Lo Amma
Bulake ghar se Hame ashqiya'n ne loota hai
Hussain BhaiMera Karbala me chhoota hai
Pahaad dardo musibat ka Ham pa toota hai
Huwi ye kaisi ziyaafat Salam Lo Amma
Suno Hamari musibat Salam Lo Amma
Suno Aye AmmaMere Sar se chhin gayi chaadar
Gayi Main koocha-o bazar me barahna sar
Rasan keneel abhi tak hain Mere baazu par
Mila ye ajre Risalat Salam Lo Amma
Suno Hamari musibat Salam Lo Amma
Main shaamo Kufa ki haalat Tumhein Sunau'n kya
Jo Ahlebait pa beeti wo ab Bataau'n kya
Rasan keneel hain Baazu pa Main Dikhau'n kya
Khud Uthke Dekhlo haalat Salam Lo Amma
Suno Hamari musibat Salam Lo Amma
Ajeeb zulm ki aandhi chali zamane me
Kaleja phat'ta hai rudaade Gham Sunane me
Sakina Margayi ghut ghutke qaid khaane me
Banake Aayi hu'n turbat Salam Lo Amma
Suno Hamari musibat Salam Lo Amma
Zaba'n pa harfe shikayat na Laasaki Zainab
Gila kiya na Kisika bhi chup Rahi Zainab
Yazide nahas ke darbar me Gayi Zainab
Baraa'e bakhshishe Ummat Salam Lo Amma
Suno Hamari musibat Salam Lo Amma
Gharib Beti se rudaade Karbala Sunlo
Jo Ham pa hogayi pardes me jafa Sunlo
Jo Sunsako to Shahadat ka waagqiya Sunlo
Jawaab deti hai himmat Salam Lo Amma
Suno Hamari musibat Salam Lo Amma