shabbar utha rahe hai hyder ka janaza
shabbir ro rahe hai ek hashr hai barpa
zaalim ne rozadaar ko haaye qatl kar diya
arshe baree'n se aati hai jibreel ki sada
uttha jo ghar se hyder-e safdar ka janaza
zainab pachaade khaati hai kulsoom ghamzada
aati hai yahi mimbaro mehraab se sada
veeraan haaye ho gayi, ab masjide kufa
hai koun ham ghareebo ka moula tere siva
har ek ghar se aati hai kufe me ye sada
hai kaayenaat shabbar-o shabbir ab udaas
ghamgeen ahlebait hai tareek hai dunya
maatam ali ke rouze par barpa karenge ham
arze najaf pe jaayegi jab naarese aza
nazro me ab bh phirta hai wo farqe murtaza
*hyder* ne dil ko thaam ke nouha ye hai likha