Kanz e Aza

Hai Salaam Us Pey Jo Qaidi Bhi Hai Beemar Bhi Hai

A salaam for Zain-ul-Abedeen (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Hai salaam us pey jo qaidi bhi hai beemar bhi hai

Paaoon mein aablay hain aabloun mein khaar bhi hai


Kehta tha touq-e-giraan tu hai meray hissey mein

Warna is fouj mein khanjar bhi hai talwaar bhi hai


Poochaa ek shaqs ney shabbir teraa kaun hai

Rokay farmaaney lagay baba bhi hai sardaar bhi hai


Pahoonchey nazdeek jo laashey kay Sakina ney kahaa

Yeh meray baba ka bhaayi bhi alamdaar bhi hai


Pahoonchey nazdeek jo koofay kay toh boli Zainab

Sar bhi uriyaan hai, balwaa bhi baazaar bhi hai


Dum rukh jaata hai aur sar bhi jhukh jaata hai

Touq yeh tangh nihaayath hai garaanbaar bhi hai


Gar chey beemaar hoon par zor-e-imaamat kay sabab

Oontt bhi kheinchtaa hoon taaqath-e-raftaar bhi hai


Jab inhey shimr nazar aata toh ro ro kehta

Yeh sitamgar bhi hai qaatil bhi khoonkhaar bhi hai


Karbala mein toh fasi aaya khusha haal tera

Ab tu shabbir ka mujraee bhi hai zawaar bhi hai