Kanz e Aza

Aye Mere Bhai Abbas

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Aye Mere Bhai Abbas

Abbas


Aye Mere Bhai Abbas, Abbas Abbas

Aye Mere Bhai Abbas, Abbas Abbas

Haye Tere Aaqa Zadi


Haye Tere Aaqa Zadi har ghaam aakle saahe gaye hai

Abbas


Aye Mere Bhai Abbas, Abbas Abbas

Aye Mere Bhai Abbas, Abbas Abbas


1. Bekaso Mazloom Ka Pyasa Gala Katta Gaya

Zaqmi Sarwar Kay Labo Par Naam Tha Abbas Ka


Haye Tere Aaqa Zadi


Haye Tere Aaqa Zadi, Tum Ko Bulate Rehgaye Hai

2. Hathkadi Bedi May Jakhde Abid e Bemaar ko

Taaziyaaney Maartey Hai Bekas O Lachaar Ko


Haye Tere Aaqa Zadi


Haye Tere Aaqa Zadi Majboor Kitni Hogayi Hai

3. Naaz Tha Jin Bazuon Par Kat gaye Bazu Wahi

Dek kr Ye Be-Radi ko Mein Roti Hu Khadi


Haye Tere Aaqa Zadi


Haye Tere Aaqa Zadi Abbas Kahte Rehgaye Hai

4. Bin Terey Aay Merey Gazi Ye Bahan Kaisey Jiye

Kisko Ab Rokar Pukaarey Kisko Ab Bhai Kahey


Haye Tere Aaqa Zadi


Haye Tere Aaqa Zadi Karbobala May Lutgayi Hai

5. Shazadaadi k Bandi Hai Aaj Dekho Reesma

Har Khadam Par Muj ko Bhai Yaad Aaye Baba Jaan


Haye Tere Aaqa Zadi


Haye Tere Aaqa Zadi Koofey Mein Aa Kay Kho Gaye Hai

6. Zulm The Koofe Mein Kaisa Tere Qahar k Liye

Mai Tarasti Rehgayi Bas Ek Chadar Kay Liye


Haye Tere Aaqa Zadi


Haye Tere Aaqa Zadi Baalo Se Parda Kargayi Hai

7. Kitna Parde Ka Qayal Tum Ko Mere Rehta Tha

Sham Kay Bazar Mein Layie Gaye Hu Be-Rida


Haye Tere Aaqa Zadi


Haye Tere Aaqa Zadi Dekho Tamasha Bangaye Hai

8. Be-rida Hone Se Phle Hoti Mein Zare Zameen

Hai Kaneezo kay Mohaafiz Aur Mera Koi Nahi


Haye Tere Aaqa Zadi


Haye Tere Aaqa Zadi Kitni Aakali Hogaye Hai

9. Kya Qayamat k Masayab Chaar Saala Saeh Gaye

Har Tamachey Par Sakina Yaad Karti Rehgaye


Haye Tere Aaqa Zadi


Haye Tere Aaqa Zadi zinda'n May Ghut Kay Margayi Hai

10. Gham Sahey Itney Kay Aankho May Andhera Chaa Gaya

Hai Kamar Meri Khamida Chalti Hu lekar Aasa


Haye Tere Aaqa Zadi


Haye Tere Aaqa Zadi Kaisi Zaaefa Hogayi Hai

11. Dekho Ghar Umullbanee'n Ka Arsh Aab Veraan Hai

Thay Jahan Atharra Bhai Wo Maka'n Sunsaan Hai


Haye Tere Aaqa Zadi


Haye Tere Aaqa Zadi Jeetey Jee Dekho Margayi Hai