Kanz e Aza

Aye Mere Bhai Raza

A noha for Imam Raza (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Aye Mere Bhai Raza


Assalamo alaika ya ghareebal ghuraba

ya moinaz zo'afaye wal fuqara

As sultan Arab E wal ajam

Mola ALI ibna MUSA RAZA.


Aye Mere Bhai Raza


Aye Ghareeb ul Ghurba

Roke MAASOOMA E QUM

Qum se deti hain sada


Aye Mere Bhai Raza


1. Tera deedar nahi Bhai qismat me meri

De hawaon ko Zara hukm aye mere ALI

Sun lun awaaz teri..(2)

dil behel jaye mera


2. Dekhne aayi hu mai qum me Surat teri

Aye ghareebul ghuraba dekh ghurbat meri

Koyi batlata nahi..(2)

mujhko mashhad ka pata


3. Mujhpe Jo beet gaye wo alam kuch bhi nahi

Saamne ZAINAB ke mere ghum kuch bhi nahi

Mai na bazaaar gayi..(2)

na chini meri rida


4. Jabse pahonchi hun mai qum dil hai qabu me kaha'n

Gham zada aaye nazar shehr k peer O jawa'n

Dekh kar kaale alam..(2)

dil dehelta hai mera


5. Hu yateema lekin wo yateema to nahi

Qaidi Baba KI qasam mai SAKINA to nahi

Jiske gohar bhi chine..(2)

haye jiska daaman bhi jala


6. Kis jagah khaar chubhe kis jagah thak ke giri

Poocho chalo se Zara kaise Meelo mai chali

Zakhm pairo ke tumhe..(2)

gham sunayenge mera


7. Sath jayega mere ye gham e tanhayi

Tum bhi AKBAR KI tarha nahi laute Bhai

Roz SUGHRA ki tarha mai jalati hun diya

8. Qum se mashhad Jo gaya zaair e MOLA RAZA


Ay takallum wo yahi leke paigham chala

Rasta Teri behen..(2)

ab bhi takti hai tera