ay karbala mein haq ke safeeron salam lo
ay bekason yateemon aseeron salam lo
ay haamiyan e aal-e-payambar tumhe salam
ay nasiran e bekaso muztar tumhe salam
ay karbala ke hamza-o-jafar tumhe salam
ay pasbaan e itrate hyder tumhe salam
ay karbala mein haq ke...
ghar bhar ke laadle ali akbar tumhe salam
ay fatima ke laal ke dilbar tumhe salam
barchi kagi hai kaisi jigar par tumhe salam
soona pada hai ab ye bhara ghar tumhe salam
ay karbala mein haq ke...
qasim ki haye marge jawani tumhe salam
khoon mein bhari hassan ki nishani tumhe salam
ay teen din ki tishna-dahani tumhe salam
shahzade band hogaya pani tumhe salam
ay karbala mein haq ke...
sheron ke sher saaniye hyder tumhe salam
kya thi majaal rokta lashkar tumhe salam
pani ko tumne maardi thokar tumhe salam
bas laut aaye mashq ko bhar kar tumhe salam
ay karbala mein haq ke...
ay fauj e sheh ke nanhe sipahi tumhe salam
kya khoob thi tumhari ladayi tumhe salam
aisi zuban labon pe phirayi tumhe salam
ulta ke rakhdi saari khudaai tumhe salam
ay karbala mein haq ke...
teeron se chalni jisme mutahhar tumhe salam
baakhi nahi libaas badan par tumhe salam
pamaal laashe sipte payambar tumhe salam
naize pe vird karte hue sar tumhe salam
ay karbala mein haq ke...
dukh ay sakina tumne uthaye tumhe salam
baba bhi laut kar nahi aaye tumhe salam
ruqsaar par tamache bhi khaye tumhe salam
nazuk se kaan khoon mein nahaye tumhe salam
ay karbala mein haq ke...