al atash ki dare qaime se sada aane lagi
mehre purtaab o tapish apne safar par jo chala
roshni hogayi darya ka kanara chamka
rafta rafta ye sama dhoop ki shiddat mein dhala
rayt mein aag lagi dasht hararat se jala
garm hoke jo sehra se hawa aane lagi
al atash ki dare…
sunke abbas bade ask fishan suye haram
dekha bachon ki jo ye tashnalabi ka aalam
khuskh honton pe zaban phair rahe thay paiham
kaha shehzadi sakina ne ye ba deedae nam
teen din hogaye hai karna sake lab kalabi
mai bhi pyasi hoo chacha jaan ali asghar bhi
al atash ki dare…
aaye abbas jhukaye hue sar sheh ke khareeb
paon par sher ne rakh di shahe waala ke jabeen
jaag utha qalbe wafadar mein soz-e-yaqeen
arz ki ran ki raza do mujhe ay qibla-e-deen
sheh ko abbas ka israr-e-raza tha dar pesh
ishq ko marhal-e-hijr wafa tha dar pesh
al atash ki dare…
al atash kehti hai jab bali sakina aaqa
tooth jaata hai mere dil ka nageena aaqa
ab to kuch aur hi kehta hai kareena aaqa
aap par saaya e sarkar e madina aaqa
hukm hojaye to is shaan se pani laun
qaid kar mauja e kausar ki rawani laun
al atash ki dare…
tum chale jaoge reh jayenge ek hum tanha
ranj par ranj sahe jayenge ek hum tanha
aah kis kis ka kiye jayenge matam tanha
hum se uthega bahattar ka na ye gham tanha
kya tumhe ban ki balaon ke hawale kar doo
shamma raushan ko hawaon ke hawale kar doo
al atash ki dare…
jao bhai tumhe allah o nabi ko saumpa
lo tumhe saaya e daaman e ali ko saumpa
jo sabhi ka hai khuda uske wali ko saumpa
yani tum jiski amanat ho usi ko saumpa
hum to har haal mein hai saabe rashakil abbas
lo alam aur khuda hafiz o nasir abbas
al atash ki dare…