Kanz e Aza

Alam Aagaya

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Zafar Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

shabbir ki aahon mein pyason ki ye goonji sada

alam aagaya alam aagaya


masoom sakina ne bachon ko bula kar kaha

alam aagaya alam aagaya


tum ne bhi hamein choda kis waqt e musibat mein

ab kaun sahara hai is aalam e ghurbat mein

abbas ke parcham se zainab ne lipat kar kaha

alam aagaya alam aagaya

shabbir ki aahon mein...


ab kaun bachayega ay bhai ridaon ko

sunte nahi kya bhai bekas ki sadaon ko

zainab ne kaha ro kar chin jayegi sar se rida

alam aagaya alam aagaya

shabbir ki aahon mein...


kehna tha yehi ran mein sab zulm ke maaron ka

zainab ne kiya matam ye kehke dulaaron ka

ab hum pe layeen ran mein dhayenge jafa par jafa

alam aagaya alam aagaya

shabbir ki aahon mein...


pardes mein aaye thay hum jis ke sahare par

wo sher to sota hai ab darya kinare par

ab tu hi muhafiz hai hum ahle haram ka khuda

alam aagaya alam aagaya

shabbir ki aahon mein...


zindan mein sakina ka jab aakhri waqt aaya

aise mein zafar us ne sajjad ko rulwaya

darwaza e zindan par masooma ne ro kar kaha

alam aagaya alam aagaya

shabbir ki aahon mein...