Kanz e Aza

Alam Ghazi ka

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

baatil ka dam ghut'ta hai

ye jab bhi kahin uth'ta hai

alam ghazi ka alam ghazi ka


ejaaz e atash dikhlata hai

mafhoome ata samjhata hai

ek mashk liye ye aata hai

aur abre karam barsata hai

jab lutf o karam karta hai

har jholi ko bharta hai

alam ghazi ka...


roshan hai charaagh e haq jis se

wo iske pharere ki hai hawa

abbas se nisbat hai isko

har sar pe isi ke taaj e wafa

taufeeq e aza deta hai

paighame wafa deta hai

alam ghazi ka...


hairaan hai yusuf bhi jis par

paayi ha jawani bhi aisi

waliyon ki tarha ye chalta hai

khaamat hai farishton ki jaisi

jab majlis mein aata hai

kaunain pe cha jaata hai

alam ghazi ka...


ghazi ne wafa ke jalwon se

is tarha sajaya hai ye alam

taqreeb e halaf bardari mein

waliyon ne uthaya hai ye alam

paymana e salaari hai

minaar e wafadari hai

alam ghazi ka...


jo haazir hona chaahte hai

darbar e imamat mein dil se

nazdeek bulata hai unko

panje se ishare kar kar ke

manzil ki khabar deta hai

khud zaade safar deta hai

alam ghazi ka...


jab waqt kada aa jaata hai

shabbir ke ghamkharon ke liye

sheron ki tarha se uth'ta hai

maula ke azadaron ke liye

aandhi se ulajh padta hai

toofano se ladta hai

alam ghazi ka...


tareekh gawahi deti hai

koi saani nahi is parcham ka

zinda hai agar beenayi teri

ay munkir ghaur se dekh zara

sab jhande hogaye thande

uncha hai khuda ke bande

alam ghazi ka...


allah re iska jaah o hasham

chauda sau baras ka hai ye alam

na ispe zaeefi aayi hai

na iski kamar mein aaya hai kham

azmat ka nishan hai gohar

sadiyon se jawan hai gohar

alam ghazi ka...