dabdaba kiska hashm kiska alam kiska hai
mere ghazi ke muqabil ho ye dam kiska hai
zameen waale usay toote dilon ki aas kehte hai
shariyat mein usay sadaat ka ehsaan kehte hai
karam sabr o raza ki saltanat ka naam hai shabbir
wafa ki aakhri sarhad ko hum abbas kehte hai
dekhna to kahin ay dil ye payambar to nahi
sardar e fatema zehra pe ye kham kiska hai
dabdaba kiska...
hur ne ek pal mein shifa'at ki sanad paayi hai
shab e ashoor ye andaz e karam kiska hai
dabdaba kiska...
sawaal e ajr e risalat maaf hona hai
munafiqat ko abhi be-naqaab hona hai
ali ka beta zamane mein aane waala hai
abhi to baagh e fidak ka hisaab hona hai
tum ye kehte ho fidak haq hai nabi zaadi ka
hum ye kehte hai arab aur ajam kiska hai
dabdaba kiska...
haq ko zinda kiya aulad e abu talib ne
warna tareekh e shuja'at mein bharam kiska hai
dabdaba kiska...
sunnat e ahmed e mukhtaar hai shabbir ka gham
is hawaale se zara soch ye gham kiska hai
dabdaba kiska...
aag ye kisne lagayi hai dar e zehra par
tu hi tareekh batade ye sitam kiska hai
dabdaba kiska...
ye jahan waale jise mohr e nabuwat samjhe
dosh e ahmed pe muhib naqshe qadam kiska hai
dabdaba kiska...