yaadgaar e karbala hai ye alam abbas ka
aaj bhi lehra raha hai ye alam abbas ka
ay sher e nayastane hyder
teri yaad ko zinda rakhna hai
is alam ko uncha rakhna hai
aap dikhlate ho dunya ko wafa ka raasta
aap bulwaate ho ghazi zaairon ko karbala
aap milwaate ho shaahe karbala se bakhuda
hum sab ka waseela ya abbas
hua sab ka wazeefa ya abbas
sab ne dil se maana hai
is alam ko uncha rakhna hai
ali ke noore ain
ummul baneen ke chain
ay jaane hussain
teri yaad ko zinda rakhna hai
is alam ko uncha rakhna hai
maula abbas ya abbas ya abbas ya abbas
ye khuda hai waseela sab ka pyara hai alam
ghamzada logon ka dunya mein sahara hai alam
bakhuda hai naaz humko ye hamara hai alam
jo alam pe aaya ya abbas
jo maanga wo paaya ya abbas
alam pe jaate rehna hai
is alam ko uncha rakhna hai
ay sher e nayastane hyder
teri yaad ko zinda rakhna hai
is alam ko uncha rakhna hai
maula abbas ya abbas ya abbas ya abbas
aaj charcha hai jahan mein jaa baja abbas ka
aaj har bazme wafa mein tazkira abbas ka
bakhuda har khaum mein har bawafa abbas ka
har dil mein hai rehta dil mein dhadakta
dil mein hamare rehna hai
is alam ko uncha rakhna hai
bechain hai kyun betaab hai kyun
kyun dil par apne boj liye
chup chaap ghamo ko sehta hai
tu pursadaar hai ghazi ka
chal aaj alam par chalte hai
abbas waseela hai rab ka
abbas se keh jo kehna hai
ye alam hai maula ghazi ka
yahan rab ki rizayein milti hai
yahan chauda shifayein milti hai
yahan baara atayein milti hai
yahan paanch panahein milti hai
bas saath alam ke rehna hai
jab alam hai saath to samjho alam waala bhi hai
jab alam waala hai to samjho shah e waala bhi hai
saath hai bibi sakina aur mashkeeza bhi hai
ye alam jahan hai ya abbas
mera chain wahan hai ya abbas
saath isi ke chalna hai
is alam ko uncha rakhna hai
ali ke noore ain
ummul baneen ke chain
ay jaane hussain
teri yaad ko zinda rakhna hai
is alam ko uncha rakhna hai
maula abbas ya abbas ya abbas ya abbas
laut kar darya se jab aaya na ghazi bawafa
zainab o kulsoom ne di wa hijaba ki sada
dekh kar khaali alam abbas ka matam hua
zainab ne pukara ya abbas
waada hai hamara ya abbas
alam ye ghar ghar sajna hai
is alam ko uncha rakhna hai
ay sher e nayastane hyder
teri yaad ko zinda rakhna hai
is alam ko uncha rakhna hai
maula abbas ya abbas ya abbas ya abbas
mere saath hai mere saath hai
ye alam hamesha saath hai
mera chain hai sukoon hai
meri raahat ye alam
mera sayeban mera paasban
meri chaahat ye alam
mai chalun kahin mere saath hai
mai rahun kahin mere saath hai
mai chalun kahin mai rahun kahin
har raste par har mod par
ye alam hamesha saath hai