alam ke saaye mein kehte chalo hussain hussain
1. lahoo badan mein hai jab tak kaho hussain hussain
zameen-e-fikr pey likte raho hussain hussain
zabaan -e- ashq se awaaz do hussain hussain
alam ke saaye mein kehte chalo hussain hussain
2. jab aaye qaimo mein beton ki lash khoon mein tar
khushi se bhai se kehti thi zainab-e-muztar
mere pisar huwe tujh par fida hussain hussain
alam ke saye mein . . .
3. wo dasht zulm wo gurbat wo shay ki tanhayi
jawaan betey ke gham se gayi hai benaayi
ghareeb -o- bekas-o- be aasra hussain hussain
alam ke saaye mein . . .
4. kisi ne dekhi hai aisi kahin koi shaadi
jaha pe dulha bhi pyasa dulhan bhi hai pyaasi
hai ghar mein shaadi ke aaho buka hussain hussain
alam ke saaye mein . . .
5. na jaane fatima kubra ke dil pe kya guzri
jaha pe hone the kangan waha pe hai rassi
dulhan ke sar pe nahi hai rida hussain hussain
alam ke saaye mein . . .
6. na chand lamho mein aisi kisi ki maang ujdey
dulhan ke aage hai dulha ke laash ke tukdey
sambhalo kubra ko aakar zara hussain
hussain alam ke saaye mein . . .
7. huwa hamara badan zakhmi taaziyano se
lahoo tapakta hai baba hamarey kaano se
jala huwa hai ye kurta mera hussain hussain
alam ke saaye mein . . .
8. kaha sakina ne main aah bhar nahi sakti
gale mein rassi hai main baat kar nahi sakti
pukaro kaise kise doon sada hussain hussain
alam ke saaye mein . . .
9. karengey shey ke alamdaar hum ter matam
buland rakhengey abbas hum tera parcham
sahara dejo shah e karbala hussain hussain
alam ke saaye mein . . .