allah o akbar haye mera sona akbar
aaj aakhri dede aza , aaj aakhri dede aza
tujh pe yeh pidar qurbaan
1. aaj aye hum shakl-e-rasool allah
jaag utthe dasht-e-karbobala
islam na bhoolega
ta hashr yeh teri aza
2. haiya ala qairil amal ki sada
aye akbar hoor jab sunlega
jal uthegi shamm-e-yaqee
chatt jayega wahmo guma
3. har waqt machalta rahta hai
abbas ki aankhon mein dariya
agaaz-e-moharram se
be chain hain ammu jaan
4. hum log bacha kar laaye hai
maqtal se nova-e-ill allah
hulkhoom mein burida se
karna hain yahi elaan
5. zakhmo ka sehra bandhwa kar
ab maut se rishta karlea
beta teri maa ko hai
teri shadi ka armaan
6. ab haq ke qabiley walon
ko milan hai gale talwaron se
aaj aal-e-mohammed mein
hogi eid-e-qurban
7. duniya mein musalma naam ke hain
zehnon ke andhere shaam ke hain
teri roop ke kirno se
roshan hain yeh sara jahan
8. kya dekh sakenge qalil-ullah
ghash khajayenge zabi-ullah
tere sinaye zaqmi se
jab khenchona nok-e-sina