Alam Abbas E Ghaazi Ka
lahu Me Tar Jo Le Aaye Hussain Ibne Ali Parcham
badi Hasrat Se Takti Thi Use Saydaniya Paiham
ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
1-kate Abbas Ke Shaane,lahu Behne Laga Saara
laga Gurze Sitam Sar Par,gire Rehwar Se Maula
ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
2- Na The Bazu Sahare Ko,zameen Per Muh Ke Bal Aaya
jari Ki Is Musibat Par,tadapta Hai Dile Zahra
ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
3-adu Kehne Lage Sare,bada Hee Naaz Tha Tum Ko
ali Ka Zor Tha Jisme,wo Baazu Hai Kaha Bolo
ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
4-sakina Ka Wo Mashkiza,sitamgar Ne Juhi Cheda
bazahir Me To Paani Tha,baha Khoon E Jari Jaisa
ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
5- Liye Ek Aakhri Hasrat,shahe Wala Ke Zaano Par
sar E Ghazi Lahu Me Tar,qayamat Khaiz Tha Manzar
ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
6- Mere Aaqa Mera Laasha,soo E Qaima Na Lejana
na Waada Kar Saka Poora,sakina Se Hu Sharminda
ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
7- Bayaan Karte The Shahe Deen,sahara Ab Nahi Koi
tere Marne Se Tooti Hai,zaeefi Me Kamar Meri
ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka
8-fasi Ab Baad E Ashura,khuda Hee Jane Kia Hoga
nigahbaan Tha Jo Chadar Ka,labe Darya Gaya Mara
ye Haal E Zaar Kehta Tha Alam Abbas E Ghaazi Ka