khwaab e sughra
behan ne khwaab ye kal shab hai dekha
shabihe mustafa bhaiya hamara
padar ke haath se banta hai dulha
bahot masroor hai khush hai sakina
damakta hai khushi se sab ka chehra
lekin mai nahi hoo afsoos mai nahi hoo
phupi amma balayein le rahi hai
bahit fizza duayein de rahi hai
thikana kya hai behno ki khushi ka
jo maange wo jo chaahe le rahi hai
manaata hai khushi kunba hamara
lekin mai nahi hoo...
ali asghar ko shehwaala bana kar
bithaya maa ne akbar ke barabar
hatheli par rakhi mahendi zara si
khade hai paas abbas e dilawar
mujhe qasim ne har qaime mein dhoonda
lekin mai nahi hoo...
dulhan ke paas baithi hai sakina
bahot masroor hai ghazi ka beta
chacha akbar ki shadi ki khushi mein
naya malboos hai baqir ne pehne
achanak mujhko abid ne pukaara
lekin mai nahi hoo...
mehek sehre ki ye batla rahi hai
sawari sayyeda ki aa rahi hai
najaf se murtaza aaye huwe hai
hawa tazeem karne jaa rahi hai
hai aanchal mil ke sab behno ne daala
lekin mai nahi hoo...
achanak khwaab toota royi sughra
tha ghar mein har taraf chaaya andhera
tha laashon se bhara ganje shaheedan
ali akbar ke seene mein tha naiza
mere baba tumhe dene ko pursa
lekin mai nahi hoo...
abhi to khwaab tha kitna suhana
tha jin haathon mein dekha maine kangna
wo seene ka lahoo roke huwe thay
kahan ki rasme shadi kaisa sehra
sabhi dete hai baba ko sahara
lekin mai nahi hoo...
samar behte rahe sughra ke aansu
bhare akbar ke khaak o khoon mein gaysu
ali akbar suye jannat sidhaare
fiza mein reh gayi bas khoon ki boo
janaza mai uthaati mil ke baba
lekin mai nahi hoo...