Kanz e Aza

Aap ne Hazrate Mukhtar

A noha written by Qamar Hasnain. Lyrics in Roman Urdu.

jab koi qaatile shabbir giraftaar hua

ye khabar sunke koi khidmate maula mein gaya

ashk barsaate huwe abid e muztar ne kaha

tune badla liya mukhtaar hai ehsaan tera


qalbe zehra ke har ek zakhm pe marham rakha

aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya


aap ke hausle kar dete hai qaumon ko jawan

aap ke khoon mein hyder ki mohabbat thi rawan

aap ke hubb mein imran ka jazba tha ayan

aap ke josh pe nazaan hai bahot karbobala

aap ne hazrate mukhtaar...


aag jo dil mein hai us aag ka darya kya hai

ek maula ke azadaar ka jazba kya hai

inteqam e ali asghar ka takaza kya hai

aap ke khoon mein tha josh abu talib ka

aap ne hazrate mukhtaar...


aap ko aal e payambar ka tha kitna ehsaas

bhool paaye na kabhi aap sakina ki pyaas

pani peete huwe thi ek sada ya abbas

aap ne daste bureeda ka liya tha badla

aap ne hazrate mukhtaar...


rajat e jism e murattab hai wo manzar kya hai

hujjat e asr ki azmat ka samandar kya hai

jiske lashkar mein ali honge wo lashkar kya hai

wo sadi aayegi mukhtaar thay jiska lamha

aap ne hazrate mukhtaar...


zulm ke daur mein mazloom ki taaqat mukhtaar

jabr ke saamne inkaar ki himmat mukhtaar

hashr tak dil pe yazeedon ke hai haibat mukhtaar

aap ne laakhon jigar chaak kiye hai tanha

aap ne hazrate mukhtaar...


roz hote hai yahan kitne azadaar shaheed

faisla kar liya ab zulm nahi sehne mazeed

kaat kar rakhdo azadaron zara nasle yazeed

aap ke josh se milta hai hamein bhi jazba

aap ne hazrate mukhtaar...


ye to allah ki nemat hai shahadat lelo

ashke shabbir se talwaar ki taaqat lelo

mat daro hazrat e mukhtaar se himmat lelo

daad deti hai inhe roohe shahe karbobala

aap ne hazrate mukhtaar...


baaqi rehta hai abhi jor o jafa ka badla

noke naiza se chini ek rida ka badla

apni hadh mein jo liya karbobala ka badla

inteqam asl mein baaqi hai abhi waaris ka

aap ne hazrate mukhtaar...


ay qamar sog badha chain dilon ne paaya

saamne aap ke jis dam sar e hurmal aaya

zere lab jis tarha sajjad ne ho farmeina

aap ne hazrat e mukhtaar bada kaam kiya

aap ne hazrate mukhtaar...