qadam badta rahe aao karbala ki taraf
aaqa hussain maula hussain
aa raha hoo mai bhi karbala
aarzu e ambiya ziarat e hussain hai
nusrat e imam hai ye nusrat e hussain hai
azm zayareen ka ye taaqat e hussain hai
dil se aa rahi hai ye sada ek hi lagan hai karbala
har qadam pe badh raha hai dil ka hausla
aaqa hussain maula hussain
aa raha hoo mai bhi...
rok hi nahi saka hai koi khaar phool ko
zaayeron ka ilm kya ho daaishi jahool ko
kaat denge zayareen kufr ke babool ko
sabr ka liye hai asleha haath mein hai parchame wafa
dekhte hai rokta hai kaun raasta
aaqa hussain maula hussain
aa raha hoo mai bhi...
rehnuma ka rehnuma hai zaayire hussain hai
fatema ki ye dua hai zaayire hussain hai
iska martaba bada hai zaayire hussain hai
khidmaton mein mehwe dam ba dam
zaayiron ke kaam aaye hum
maadar e hussain se milega hausla
aaqa hussain maula hussain
aa raha hoo mai bhi...
aarzu e murtaza hai ye dua e fatema
faqr se zameen de isko rahi hai raasta
mehr o maah hai safar mein chal raha hai khaafela
bhai hai behan hai aur maa bache boodhe saath hai jawan
lashkare hussain mein hai aaj faisla
aaqa hussain maula hussain
aa raha hoo mai bhi...
hyderi jo walwala hai ishq e arz e toos hai
azm hai shahadaton ka maut to uroos hai
karwan jo chal raha hai matami juloos hai
matam e hussain ka asar buzdilon ke phat gaye jigar
darr ke har yazeed apne ghar mein chup gaya
aaqa hussain maula hussain
aa raha hoo mai bhi...
haq hai ye hussain ka najaf se karbala chalo
poora khaandan leke misl e shaah tum badho
choomte hai raaste har ek zakhm zakhm ko
abid e hazeen hai raah par zainab e hazeen hai humsafar
paon mein pade hai aable to kya hua
aaqa hussain maula hussain
aa raha hoo mai bhi...
roz o shab tadap raha hoo zindagi ki kya khabar
maanta hoo maula hoo gunahgaar kis qadar
ek bar pahunchun bus mai rauza e hussain par
bhai aur bhatije ki talaash cheh mahine ke pisar ki laash
pursa dene aap ko har ek shaheed ka
aaqa hussain maula hussain
aa raha hoo mai bhi...
roze maine rakhe aur khums bhi ada kiya
waqt par padi namaz ki nahi kabhi qaza
matami mai aap ka hoo meri zindagi aza
dil ki ye tadap hai ek baar aaqa mai hoo ek gunahgaar
hurr ki tarah haath jod kar hoo mai khada
aaqa hussain maula hussain
aa raha hoo mai bhi...
karbala hi zindagi meri hai mai hoo matami
khoon e dil se jo likhe hai lafz wo hai roshni
ay qamar ziyarat e hussain hogi laazmi
zulm ke khilaaf har qadam hai hussainiat mera qalam
door karbala se mai shaheed ho gaya to kya
aaqa hussain maula hussain
aa raha hoo mai bhi...