Kanz e Aza

Aaram Kahan

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

aaram kahan haye haye aaram kahan

dashte aalam mein zainab ko bhala, aaram kahan


qatl shabbir bhi abbas bhi akbar bhi huve

kat gaye aun-o-mohamad ke bhi maqtal mein galay

laashae ibne hassan ho gaya paamale jafa

aaram kahan...


teer jab asghar e masoom ki gardan pe laga

deti thi qaime ke dar pe khadi bano ye sada

bin tere chain milay kaise mere mahelakha

aaram kahan...


chid gayi mashke sakina labe darya afsos

be-kafn khaak pe hai sher ka laasha afsos

pyase bachon ka koi chahne wala na raha

aaram kahan...


chin gayi sar se rida jal gaya asbaab tamaam

baade shabbir namudar huvi kaisi ye shaam

khoon kano se baha bachi ka daaman bhi jala

aaram kahan...


sar shaheedo ke sare nauke sina qaid haram

ek do ka nahi seene mein bahattar ka hai gham

bediyan pehne huve laaghiro beemar chala

aaram kahan...


koi maara gaya talwar se naize se koi

laash maqtal mein kisi dulha ki pamaal hui

hogaye baazu e abbase alamdar juda

aaram kahan...


ro ro kehti hai sakina mere ammu aao

mujko maare na layeen aake inhe samjhao

kyun nahi sunte ho deti hoo tumhe kab se sada

aaram kahan...


khaafela jaata hai aab shaam ke baazaro mein

chalte hai ahle haram zulm ke angaro mein

har qadam hoti hai beemar pe ek taaza jafa

aaram kahan...


bache jo khaak pa girte hai kuchal jaate hai

gham se dil maa'on ke seene se nikal jaate hai

koi sunta nahi bewa'on ki faryad-o-buka

aaram kahan...


aankh roti hai qalam likhta hai noha rehaan

hai karam mujhpe shahe karbobala ka rehaan

nowha jab tak na likhoo roz shahe deen ka naya

aaram kahan...