waqt-e-rukhsat shahe wala se sakina ne kaha
aakhri baar kaleje se lagalo baba
sabr-e-sarwar ne uthaye the kayi laashe magar
phat gaye qalb-o-jigar padte hi beti pe nazar
jod kar haato'n ko jab bali sakina ne kaha
subha se jo bhi gaya ran ko na wapas aaya
shaq hai ammu ki judayi se kaleja mera
is se pehle ke yateeemi ka ho sar par saaya
meri taqdeer me ab phir na ujaala hoga
asr ke saath yateemi ka andhera hoga
aakhri naaz ye ek baba uthalo mera
tashnagi aap ki shafqat ki na jeene degi
jab masaeb ki ghutan saans na lene degi
hoga furqat ki rasan me mera nanha sa gala
khaima-e-zeest me har simt andhere honge
bekasi zulm aziyyat ke basere honge
hoga zindaan-e-museebat hi muqaddar mera
chaah paani ki mujhe hai na ghiza ki chahat
ek hi hai mere baba mere dil me hasrat
apne seene pe bas ek baar sula le baba
neend aati hai faqat aap ke seene pa mujhe
baba batlaiye ab khaak pe sou'n kaise
ab kabhi mujh ko milega na ye seena baba
qaide aalaam-o-masaeb hi muqaddar hogi
aap ke seene ki thandak na mayassar hogi
hashr tak khaak ke bistar pa mujhe hai sona
anjuman hai ye jo saqqa-e-haram se mansoob
karbala ki ise yawar hai ziyarat matloob
jaake ye rouza-e-sarwar pe sunaye nouha