Zehra ke Khandan pa ghurbat ki raat hai
Khamosh khaima gaah hai wahshat ki raat hai
Aashoor ki ye shab hai shahadat ki raat hai
Maatam bapa karo ke qayamat ki raat hai
Ahle Haram hain dekh pareshaan Karbala
Dil aaj hi se sabke hain veeraan Karbala
Kal tak rahenge ye tere mehmaan Karbala
Ye raat unpa sakht musibat ki raat hai
Kal sub'ha deke aakhri mojiz numa Aza'n
Barchhi Jigar pa Khaayga phir Akbare Jawa'n
Sakte me kal se aakhri din tak Rahegi Maa
Bete ki aakhri ye Ziyarat ki raat hai
As'haab ko hai dhyaan bas apne Imam ka
Pyaaso'n ko intezaar Shahadat ke Jaam ka
Abbas kar rahe hain Talaaya Khayaam ka
In sabke waaste ye Ibadat ki raat hai
Qasim Hasan ka Laal Jo Maida'n ko jaayga
Dashte bala me khoon ka dariya bahaayga
Magtal ki sra zamin ko Mehshar banaayga
Naoshaahe Karbala pa shahadat ki raat hai
Chaadar hai aaj sar pa hai Zainab ko itminaan
Kal hoga sab saro'n pa magar charkhe Saaybaan
Kal hoga Fatima ka rasan basta Khandan
Ye aakhri ridaao'n ki hurmat ki raat hai
Shaane kata ke nehr pa Abbas Soenge
Tooti Kamar ko Thaam ke Shabbir Roenge
Bachche bhi pyaas bujhne ki ummid khoenge
Ghaazi pa aaj Zapte Shuja'at ki raat hai
Hamla Ali ke Sher pa hoga furaat par
Marjaayga Sakina ka Saqqa furaat par
Kal hoga Ambiya ka bhi girya furaat par
Khaimo'n ki aakhri ye hifazat ki raat hai
Teere sitam se kal jo kiya Jaayga Shaheed
Shashmaaha hai wo Jis pa musibat hai ye shadeed
Ye zulm karke roega khud lashkare yazid
Bano pa intehaay aziyat ki raat hai
Hangaame asr qatl Kiye Jaaynge Hussain
Kal Bekafan Rahenge yaha'n Shaahe Mashragain
Maqtal me goonj uthenge kal Fatima ke Bain
Ye raat MereLaal pa ghurbat ki raat hai
Laazim hai kaaynaat pa ye Gham Hussain ka
Kaise karenge Haq ye ada ham Hussain ka
Bachpan se karte aay hain Maatam Hussain ka
Apne liye ye raat sa'adat ki raat hai
Maango Jameel Khaliqe Akbar se ye Dua
Aye Rabbe Paak Tujhko hai ab shab ka waasta
Ham sab Hussain waalo'n ko pohnchaade Karbala
Aansu bahaay jao ye riqqat ki raat hai