Kanz e Aza

Allaho Akbar ki azaan

A noha for Ali Akbar (a.s) (2013). Lyrics in Roman Urdu.

Allaho Akbar ki azaan

Allah o Akbar ki azaan....x4


Yeh keh rahi hain dasht me ro ro ke ek maa


Allah o Akbar ki  azaan...x4


Haye haye tum na aye

Aye meri aankhon ke chain

Haye woh gam das moharram Aur Sakina ke woh bain

Akbar bhi sunke ro pada...x2

Behnon ki siskiyaan


Allah o Akbar ki azaan...x4


Kya jawani kaisa pani

Tashnagi ki raat thi

Haye aye rab aakhri shab

Aansuon ke saath thi

Ubhri thi haye is tarah....x2

Aashur ki azaan


Allah o Akbar ki azaan...x4


Mustafa ke chaand tare

Shaam tak gehna gaye

Haye haye phool saare

Kis tarah murjha gaye

Yu Fatema ke baagh me...x2

Aati rahi khiza


Allah o Akbar ki azaan...x4


Haye haye gum uthaye

Is tarah saadat ne

Aahozaari ashkwaari ko gamon ki raat ne

Jaise  jawan laash par...x2

Baithi hain bibiyan


Allah o Akbar ki azaan...x4


Aisa manzar is zameen par

Fir kabhi nazar aaya nahi

Naujawan ka yu janaza

Aise uthta hain kabhi

Roti hain aaj yeh zameen...x2

Rota hain aasmaan


Allah o Akbar ki azaan...x4


Haye Akbar bola rokar

Yeh azaan e aakhri

Sun rahe hain karbala main

Aaj jis tarah sabhi

Sugra bhi kash sun sake....x2

Aye mere babajaan


Allah o Akbar ki azaan...x4


Haye haye sar kataye Sab jawan so jayege

Dehr chhode khaak odhe dasht me kho jayege

Kayam rahegi hashr tak..x2

Allah ki azaan


Allah o Akbar ki azaan...x4


Woh muazzim maut ke din

Gin raha tha aye Zafar

Shah ka dil kaisi mushkil me tha Mesum raat bhar

Yu qatla hoke reh gaya...x2

Shabbir ka bayaan


Allah o akbar ki azaan..x4