bibiyan kar rahi hai ye nauha
haye akbar haye qasim haye asghar
mera kadiyal jawan mera akbar
haye mera shabihe payambar
mera gaysuon waala dilbar
bain karti hai ye umme laila
haye akbar haye qasim...
mera naashad qasim e naushah
khoon mein tar hua tera sehra
ek shab ki dulhan hui bewa
bain karti hai ye umme farwa
haye akbar haye qasim...
mera baysheer hasliyon waala
mera shish maaha ghar ka ujaala
lut gaya mera naazon ka paala
bain karti hai ye bano dukhiya
haye akbar haye qasim...
tashnalab mera asghare nadan
godh khaali hai jhoola hai veeran
tujhko dhoondne jaaye kahan maa
kis ko lori sunaungi beta
haye akbar haye qasim...
kaisa khaali hua hai bhara ghar
nahi abbas jaisa biradar
aaj tanha hai sibte payambar
bekasi kar rahi hai ye girya
haye akbar haye qasim...
haq pe qurban huwe jo bahattar
kar salaam shaheedon ko mehshar
sabr o eesaar ke thay jo paikar
hai unhi ke liye mera nauha
haye akbar haye qasim...