Kanz e Aza

Hussain Ghode se

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Mehshar Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

suna ye zainab ne shor e lashkar

hussain ghode se gir chuke hai


gulu e sheh par chala wo khanjar

hussain ghode se gir chuke hai


ghiro na ab qatle shaahe deen se

na uth sakenge ye ab zameen se

yuhin tadapne do ab zameen par

hussain ghode se...


namaz ki do na inko mohlat

na ek sajde ki do ijazat

uthao khanjar qalam karo sar

hussain ghode se...


sada di zainab ne suye darya

madad ko aajao jald bhaiya

bachao aaqa ko apne aa kar

hussain ghode se...


badan tha zakhmon se choor itna

muhaal ghode pe tha sambhalna

tanha hai ran mein mera biradar

hussain ghode se...


akele maqtal mein shaahe deen hai

aur unko gehre huwe layeen hai

kahan ho qasim kahan ho akbar

hussain ghode se...


na koi shaahe umam ka waaris

na koi ahle haram ka waaris

na ab rahegi saron pe chaadar

hussain ghode se...


aseer hum ko karenge aada

aur honge bazaar e shaam o kufa

phirenge hum sar barehna dar dar

hussain ghode se...


jo khoon mein doobe pade hai laashe

wo bawafa nasiran e sheh ke

sadayein dete hai wo bahattar

hussain ghode se...