Kanz e Aza

Kaisi Hai Ye Islam

A noha written by Mehshar Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

kaisi hai ye islam ke suraj ki ziya dekh


ay sheh ke azadaar zara hosh mein aaja

kufe se ubharte huwe suraj ko zara dekh

kaisi hai ye...


ikhlaq o murawwat ki ye meraj hai wallah

ek hurr ki khata dekh shahe deen ki ata dekh

kaisi hai ye...


panja ye nahi mere tasavvur mein alam par

abbas hai pehne huwe ye taaj e wafa dekh

kaisi hai ye...


ay qatil e masoom zara khauf e khuda kar

nawak ko zara dekh zara nanha gala dekh

kaisi hai ye...


behlaati thi asghar ko ye keh keh ke sakina

tere liye pani abhi laate hai chacha dekh

kaisi hai ye...


be-ghusl o kafan dafn hui naazon ki paali

kis haal mein aayi hai sakina ko qaza dekh

kaisi hai ye...


baalon se na chehre ko chupaye to kare kya

afos mayassar nahi zainab ko rida dekh

kaisi hai ye...


mehshar tere ash'aar to hai apni jagah par

ye seena zani dekh ye nazim ki sada dekh

kaisi hai ye...