bunyade la ilaaha wujood e azan hussain
khad khamatis salaat ke roohe rawan hussain
mere rasool e paak hai quran ki tarha
sher e khuda ki zaat hai juz daan ki tarha
aur sayyeda hai sura e rehman ki tarha
sulhe hassan hai amn ke maidan ki tarha
roohe kalame paak ke hai darmiyan hussain
bunyad e lailaaha…
maula ali jahan bhi hai haq saath saath hai
quran ki bandishon mein waraq saath saath hai
aur aasman pe jaise shafaq saath saath hai
kalma hai aur deen ka sabakh saath saath hai
islam jis jagah hai samajhlo wahan hussain
bunyad e lailaaha…
badnaam o be-nishan lashkar yazeed ka
dozakh ki aag bangayi bistar yazeed ka
ruswayi bangayi hai muqaddar yazeed ka
koi mehal hai ghar na koi dar yazeed ka
jannat se bad gaya hai tera aastan hussain
bunyad e lailaaha…
mushkil ke waqt aata hai khyber shikan ka naam
dhaaras hai mere qalb ki shaahe zaman ka naam
jaise azan mein akbare gulpairahan ka naam
mehshar ke dil pe naqsh hai yun panjetan ka naam
ye dil bana hua hai tera gulsitan hussain
bunyad e lailaaha…