Di Sakina Ne Sada Aaye Mere Bhaiya Asghar
Asghar Mere Asghar - Asghar Mere Asghar
Aa Bhija Tujh Ku Bulati Hai Yeh Behna Asghar
1.Hum Pe Pardes Me Kaisi Yeh Qayamath Aayi
Saara Ghar Luth Gaya Bus Ek hi Din Me Bhai
Kaisi Jeepayengi Ab Teri Yeh Bhena Asghar
2.Laaye They Jab Tujhe Seene Se Laga Kar Baba
Meri Aankhoun Ne Qayamath Ka Wo Manzar dekha
Tha Tere Khoon Se Tar Baba Ka Chehra Asghar
3.Gham Yeh Aisa Hai Behan Sughra Na Seh Payengi
Tere Marne Ki Khabar Sunke Wo Mar Jayengi
Takhti Hungi Wo Fakath Apna Hi Rasta Asghar
4.Jab Mila Paani Sar-e-Sham-e-Ghareeba Mujhku
Pyaas Me Rote Howe Yaad Kiya Bus Tujhku
Maine Hargis Na Piya Ek Bhi Khatra Asghar
5.Bhaiya Abid Ke Siwa Ab Koi Baakhi Na Raha
Haste Jaate Hai Hume Qaidi Banakar Aada
Har Khadam Shimr Lagata Tamacha Asghar
6.Mujhku Tadhpaya Hai Iss Tarah Jafakarou Ne
Dil Ku Yun Aag Lagayi Hai Sitamgarou Ne
Samne Mere Jalaya Tera Jhoola Asghar
7.Nouha Padhti Hai Fizayain Bhi Teri Ghurbat Pe
Yeh Sitam Dhayan Hai Aada Ne Teri Turbath Pe
Mar Kar Naiza Nikala Tera Laasha Asghar
8.Zulm Yeh Baad-e-Shahdath Bhi Howa Hai Tujh par
Pheera zalim Ne Tere Zakhmi Gaale Par Khanjar
Sar Chadhaya Hai Tera Bar Sar-e-Naiza Asghar
9.Aaye Kamal Aati Hai Yeh Khabre Sakina Se Sada
Khakh Pe Sar Hai Mera Aur Main Hu Sabse Juda
Tujh Ku Turbath Me Mila Baba Ka Seena Asghar