assalaam alaika ay zainab o umme kulsum
assalaam alaika ay ruqqaya o sakina
assalaam alaika ay umme laila o rabab
assalaam alaika ay fatema o fizza o lubaba
assalaam alaika ay ahlebaitun nubuwa
assalaam alaika ay haram e ansar o aizza
alaikum minni salaam
aale syedunnisa dukhtrane murtaza
kehte thay shahe huda al firaq alwida
aale syedunnisa al firaq alwida
dukhtrane murtaza al firaq alwida
kehte thay shahe huda al firaq alwida
aao zainab e hazeen dikhaye tum ko haale zaar
zakhme tan hazaar hai jigar alam se ha figaar
jawan laal mar gaya kaleja barchi se chida
kalega barchi se chida hussain dekhta raha
al firaq alwida al firaq alwida
kehte thay shahe huda...
haye mera bhai qatl ho gaya furaat par
kuch maza nahi raha hai meri is hayaat par
reh gaya akela mai ho gaye juda aqi
ho gaye juda aqi zindagi muhaal hai
al firaq alwida al firaq alwida
kehte thay shahe huda...
mera bezuban jahan se tashna lab guzar gaya
aab ke sawaal par sagheer ka gala chida
sula ke us ko qabr mein iba ko apni jhaad ke
iba ko apni jhaad ke rabab hum bhi jaate hai
al firaq alwida al firaq alwida
kehte thay shahe huda...
assalasm ay fatema rabab zainab e hazeen
salam fizza laila aur sakina jaane shaah e deen
hussain marne ko chala shaheed kunba hogaya
shaheed kunba hogaya ajeeb waqt aa gaya
al firaq alwida al firaq alwida
kehte thay shahe huda...
alaika minni as salaam ay dukhtare ali wali
salaam saakinane qaima e hussain bin ali
ghareeb o bedayaar ka salaam dilfigaar ka
salaam dilfigaar ka qabool bibiyon karo
al firaq alwida al firaq alwida
kehte thay shahe huda...
sada ye sunte hi hua haram mein naala o buka
koi to lipti paon se kisi ne thaam li iba
kiye thi halqa bibiyan buka se hashr tha bapa
buka se hashr tha bapa labon pe yehi nauha tha
al firaq alwida al firaq alwida
kehte thay shahe huda...
khada tha sar jhukaye choor zakhmon se nabi ka laal
ayan tha chehron se haram ke bekasi gham o malaal
kaha hussain ne behan karo na is tarha mehan
karo na is tarha mehan tumhe to karna hai safar
al firaq alwida al firaq alwida
kehte thay shahe huda...
hussain ban ke karna hai yahan se shaam ka safar
chalega saath saath naize par behan hamara sar
bandhegi baazu mein rasan shakista hoga pairahan
shakista hoga pairahan karege ye shaqi jafa
al firaq alwida al firaq alwida
kehte thay shahe huda...
anees rukhsat e hussain kis tarha se ho bayan
bandhi hui thi bibiyon ki soz e gham se hichkiyan
haram bilak ke rote thay jigar figaar hote thay
jigar figaar hote thay buland hoti thi sada
al firaq alwida al firaq alwida
kehte thay shahe huda...