ay zuljana kya kiya apne sawaar ko
dilbande mustufa shahe gardo viqar ko
jab jaanta tha mar gaye sab khaish o akhraba
phir kis pe chod aaya ghareeb-ud-dayaar ko
ay zuljana…
maqtal se daudta hua khaali phira hai kyun
viswas aa raha hai dil e beqarar ko
ay zuljana…
ay zuljana is tarhe se aane ka fayeda
jab khairiat se leke na aaya sawaar ko
ay zuljana…
kyun sar jhukaye sharm se rota hai zaar zaar
kya khaak par gira diya apne sawaar ko
ay zuljana…
kya hogayi yateem sakina bala naseeb
kyun ro roha hai dekh ke us dilfigaar ko
ay zuljana…
jis manzile akheer ka bachpan se shauk tha
kya us jaga utaara hai apne sawaar ko
ay zuljana…
ay qais ahle shaam ne andhayr kar diya
gul kar diya nabi ke charaghe mazaar ko
ay zuljana…