ay shaheed e karbala tujh par salaam
ay zabeeh e nainawa tujh par salaam
haath se asghar diye akbar diye
ay khaleel e karbala tujh par salaam
ay zabeeh e nainawa tujh par salaam
ay shaheed e karbala...
deene haq jab taalib e nusrat hua
tu bana deen ki panaah tujh par salaam
ay zabeeh e nainawa tujh par salaam
ay shaheed e karbala...
ghar ka ghar deen ki baqa ke waaste
kar diya pesh e khuda tujh par salaam
ay zabeeh e nainawa tujh par salaam
ay shaheed e karbala...
tu ne ahlebait ko quran se
na diya hone juda tujh par salaam
ay zabeeh e nainawa tujh par salaam
ay shaheed e karbala...
kar diya hai zinda deen ko hashr tak
de ke zainab ki rida tujh par salaam
ay zabeeh e nainawa tujh par salaam
ay shaheed e karbala...
saaye mein teeron ke tu ne ay hussain
ki namaz e haq ada tujh par salaam
ay zabeeh e nainawa tujh par salaam
ay shaheed e karbala...
hurr bhi ho kar aagaya jab sharm saar
baksh di uski khata tujh par salaam
ay zabeeh e nainawa tujh par salaam
ay shaheed e karbala...
tu ne rakhli ambiya ki aabroo
apna ghar lutwa diya tujh par salaam
ay zabeeh e nainawa tujh par salaam
ay shaheed e karbala...
khuld ki kausar ko kuch khwahish nahi
karbala mujhko dikha tujh par salaam
ay zabeeh e nainawa tujh par salaam
ay shaheed e karbala...