Kanz e Aza

Abbas ka matam hai wafadar ka

A noha for Hazrat Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Abbas ka maatam hai wafadar ka maatam

Hai fouje hussaini ke alamdar ka maatam

maare gaye maqtal me kate nehr pa shaane

karte hai haram sheh ke alamdar ka maatam


teero'n se chidi mashq jo laaye hai shahedee'n

maasomo me barpa hai alamdar maatam

Hai qaide musibat me behen betiya'n saari

ab koun kare sayyade abraar ka maatam


Rote the ghareebi pa jo beemaar ke chaale

zanjeer bhi khud karti beemaar ka maatam

Paamaal umeeedei'n hui aur aas bhi tooti

zainab ne kiya sheh ke wafadaar ka maatam


Baba ko rote rote jo qamosh ho gayi

syedaaniya karti thi wo ghamquar ka maatam