dukhiya zainab kisko pukaare
sogaye ghazi dariya kanaare
shaam-e-gharibaan ka tha andhera
chaaro taraf tha zulm ka pehra
dil me gham ne deep jalaye
dukhiya zainab kisko pukaare
meri nazar me rehgaya manzar
bhai akela lakhou'n ka lashkar
zakhmi jigar ye kisko bataaye
dukhiya zainab kisko pukaare
pair zameen par na rakhti hai
meri sakina kaise chali hai
dard ye apna kisko bata aye
dukhiya zainab kisko pukaare
raaho'n ke manzar hain ye nirale
ham hai'n khule sar din ke ujale
baalo'n se apna chehra chhupaye
dukhiya zainab kisko pukaare