dukhtare shabbir ki tashna dahani dekh kar
khoon aankhon mein utar aata hai pani dekh kar
dukhtare shabbir ki...
dono haaton se jigar ko thaam kar tadpe hussain
khaak mein milti mohamed ki nishani dekh kar
dukhtare shabbir ki...
aks pyason ka nazar aaya jo sathay aab par
rodiye abbas darya ki rawani dekh kar
dukhtare shabbir ki...
pani pani hogayi darya ki mauje sharm se
hazrate abbas ki aankhon mein pani dekh kar
dukhtare shabbir ki...
tak rahe hai pyar se bete ki soorat ko hussain
maut roti hai sarahne naujawani dekh kar
dukhtare shabbir ki...
sar patakti hai behan qaime mein rote hai haram
halqe shaahe deen pe khanjar ki rawani dekh kar
dukhtare shabbir ki...
haye kya batlaye kya guzri dil e shabbir par
ghodon ki taapon mein bhai ki nishani dekh kar
dukhtare shabbir ki...
khushk honton par phirayi jab zaban baysheer ne
rodiya lashkar ada e bezabani dekh kar
dukhtare shabbir ki...