Kanz e Aza

Abid Ko Saath Lekar

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram, written by Sajid Razvi. Lyrics in Roman Urdu.

abid ko saath lekar zainab madine aayi

utho rasool dekho hamraah kya kya laayi


karbobala ke manzar dekhi jo binte hyder

roti thi yaad kar ke jab hogayi rehaai

abid ko saath lekar...


kaise uthaya shah ne kadiyal jawan ka laasha

sarwar ke dil se poocho farzand ki judaai

abid ko saath lekar...


shabbir ke galay par jab chal raha tha khanjar

aankhon mein hai wo manzar zainab jo dekh aayi

abid ko saath lekar...


sar par na thi ridayein baazu bande huwe thay

aulaad fatema ki bazaar ho ke aayi

abid ko saath lekar...


darbaar ka tha manzar tashte tila mein wo sar

har har qadam pa nana abid ko maut aayi

abid ko saath lekar...


karbal se shaam tak bhi pyasi rahi sakina

ghut ghut ke aakhir usko zindan mein maut aayi

abid ko saath lekar...


pehre thay aansoun par kya saktiyan thi sajid

baba ko yaad kar ke bacchi na rone paayi

abid ko saath lekar...