Kanz e Aza

Shaam Hai Gharibon

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Sajid Razvi. Lyrics in Roman Urdu.

shaam hai ghareebon ki dard naak manzar hai

be-hawaas maidan mein itrat e payambar hai

dard naak manzar hai


teeragi hai dehshat hai haye kya qayamat hai

hai haram ki nigraani aur ali ki dukhtar hai

dard naak manzar hai

shaam hai ghareebon ki...


chaa chuki hai tareeki phir bhi zulm hai jaari

shimr ke tamache hai shaah e deen ki dukhtar hai

dard naak manzar hai

shaam hai ghareebon ki...


ek yateem bacchi ko haye yun mila pursa

kaan hogaye zakhmi pusht khoon mein tar hai

dard naak manzar hai

shaam hai ghareebon ki...


haye kya bhara ghar tha aur ab hai sannata

subha ka tha wo manzar shaam ka ye manzar hai

dard naak manzar hai

shaam hai ghareebon ki...


jal chuke hai sab qaime bibiyan hui be-aas

ab na koi waaris hai aur na sar pe chadar hai

dard naak manzar hai

shaam hai ghareebon ki...


kya likhe bhala koi haal e abid e muztar

aasman saaya hai aur zameen bistar hai

dard naak manzar hai

shaam hai ghareebon ki...


fatema ke gulshan ko kis tarha kiya taara

ab na koi akbar hai aur na koi asghar hai

dard naak manzar hai

shaam hai ghareebon ki...


sar hai sajde mein sajid behre shukr bete ka

saamne hi naize par baap ka kata sar hai

dard naak manzar hai

shaam hai ghareebon ki...