Kanz e Aza

Moharam ka Chand

A noha for Ibtedaye Ayyam e Aza, written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

ye hai hilaal e gham

ye gham ka chand hai


ahle aza ye chand moharram ka chand hai


ahle aza ye chand moharram ka chand hai

nikla gham e hussain ke mausam ka chand hai

ye fatema ke laal ke matam ka chand hai

farshe aza bichao bade gham ka chand hai

is chand mein ali ka dulaara hua shaheed

is chand mein rasool ka pyara hua shaheed

ahle aza ye chand...


ghar mein sajao parchame abbas e bawafa

aur uske paas laa ke rakho sheh ka taazia

padhte raho hussain ki ghurbat ka marsiya

tha jiska intezar wo din phir se aa gaya

purse ko shaahzadi e kaunain aayengi

farshe aza pe maadar e hasnain aayengi

ahle aza ye chand...


nikla hai jab ye chand safar mein hussain thay

asghar ko leke godh mein shabbir ro pade

kehne lage ye chand mere laal dekh le

is chand mein na chodenge ahle jafa tujhe

maarenge aise teer se tujhko ye ahle shar

haiwan bhi larazte hai jo teer dekh kar

ahle aza ye chand...


abbas ko galay se lagaya hussain ne

qasim ko apne pas bithaya hussain ne

akbar ko bhi khareeb bulaya hussain ne

phir gham ka chand sab ko dikhaya hussain ne

kehne lage qkhareeb hai ab arze karbala

har chand karbala mein mera doob jayega

ahle aza ye chand...


monis na bach saka koi yawar na bach saka

qasim na bach sake ali akbar na bach saka

battees saal waala baradar na bach saka

hadh ho gayi ki nanha sa asghar na bach saka

is chand mein ujad gayi kheti rasool ki

is chand mein luti hai kamayi batool ki

ahle aza ye chand...


karbobala ke baad bhi padti thi jab nazar

laila tadap ke roti thi ye chand dekh kar

shiddat se yaad aata tha kadiyal jawan pisar

seene ka zakhm aur wo farzand ka jigar

kehti thi mera chand to mitti mein mil gaya

ay chand baar baar mere saamne na aa

ahle aza ye chand...


waiz hilaale maahe moharram ko dekh kar

seene mein kaamp jaata hai aksar mera jigar

rota hai dil hussain ki ghurbat ko soch kar

jaati hai meri fikr sakina ke dard par

is chand mein hussain ki pyari hui yateem

seene pe sone waali dulaari hui yateem

ahle aza ye chand...