Kanz e Aza

Janabe Umme Laila

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Waiz Sultanpuri. Lyrics in Roman Urdu.

aayi jawan laal ke marne ki jab khabar

maa royi dono haathon se dil apna thaam kar

moo peet'ti thi apna kabhi peet'ti thi sar

kehti thi lut gaya mera karbobala mein ghar

barchi ne tod daala jigar meri jaan ka

sehra na dekh paayi mai apne jawan ka


janabe umme laila yehi padti thi nauha

na dekha maine apne jawan bete ka sehra


meri nazron ke aage luti hai meri dunya

na dekha maine apne jawan bete ka sehra


duayein kar ke athara baras jis laal ko paala

lahoo mein doob kar aaya hai wo kadiyal jawan mera

kahan se laaun himmat mai kaise dekhun laasha

na dekha maine apne jawan bete ka sehra

janabe umme laila...


nahi tha saahibe aulaad kya wo be-rehm qatil

nikaala jiski barchi ne mere kadiyal jawan ka dil

mere bacche ko pyasa layeen ne maar daala

na dekha maine apne jawan bete ka sehra

janabe umme laila...


sila tha maine khud apne pisar ke byaah ka joda

bahot nazdeek tha din mere shehzade ki shadi ka

kahan mujhko khabar thi lutegi meri dunya

na dekha maine apne jawan bete ka sehra

janabe umme laila...


bada armaan tha akbar ki hogi jab teri shadi

bulaungi teri dulhan ko mai yasrab ki shehzadi

magar qismat mein meri wo din aane na paaya

na dekha maine apne jawan bete ka sehra

janabe umme laila...


nahi tha door wo din jab tamanna meri bar aati

bahot hi dhoom se baraat mere laal ki jaati

magar karbobala ne mere yusuf ko cheena

na dekha maine apne jawan bete ka sehra

janabe umme laila...


saron ko peet ke ahle haram karne lage matam

ali akbar ke laashe par kaha laila ne ye jis dam

lagaun kisko mehendi banaun kisko dulha

na dekha maine apne jawan bete ka sehra

janabe umme laila...


ye hasrat thi mai apne laal ki shadi racha leti

ali akbar ki dulhan ko kaleje se laga leti

kaleja maamta ka na hone paaya thandha

na dekha maine apne jawan bete ka sehra

janabe umme laila...


ye keh kar umme laila peet'ti thi sar kabhi seena

nahi hai maut se kam ab ali akbar ke bin jeena

luti uski jawani jo meri zindagi tha

na dekha maine apne jawan bete ka sehra

janabe umme laila...


na ujde maadare akbar ki tarha koi maa waiz

na maara jaaye ghurbat mein kisi ka naujawan waiz

na tadpe ab jahan mein ye keh kar koi dukhiya

na dekha maine apne jawan bete ka sehra

janabe umme laila...