Kanz e Aza

Dekh Kar Pamaal

A noha written by Jawad Jaffri. Lyrics in Roman Urdu.

dekh kar pamaal laashe karbala roti rahi

ban ke laashon ka kafan khaake shifa roti rahi


jab kate darya pe baazu bawafa abbas ke

waaris e tatheer ke sar ki rida roti rahi

dekh kar pamaal laashe...


kar diya zakhmi sina ne haye akbar ka jigar

dekh kar hamsheer jis ka raasta roti rahi

dekh kar pamaal laashe...


jab kaha bache ne maa se muskurakar alwida

choom kar maa nanhe asghar ka gala roti rahi

dekh kar pamaal laashe...


kat chuki sajde mein gardan jab ali ke laal ki

khol kar baalon ko binte mustufa roti rahi

dekh kar pamaal laashe...


ambiya jawwad roye suye maqtal dekh kar

aasman larza zameen e nainawa roti rahi

dekh kar pamaal laashe...