Kanz e Aza

Hogi Na Inteha Koi

A noha written by Shahid. Lyrics in Roman Urdu.

hogi na inteha koi is inteha ke baad

sajda na kar saka koi phir karbala ke baad


abid ke sar pe rakh ke dastaar shaah ye bole

ek aur karbala hai is karbala ke baad

hogi na inteha koi...


matam kiya lahoo ka aankhon se zindagi bhar

na aisa matami hai zainulliba ke baad

hogi na inteha koi...


aise tamache khaaye baba ke baad us ne

soyi nahi sakina phir karbala ke baad

hogi na inteha koi...


teri laash pe aaun kaise batao akbar

aata nazar nahi hai teri qaza ke baad

hogi na inteha koi...


aayi nida e khaaliq meri raza ke maalik

mai karbala se pehle tu karbala ke baad

hogi na inteha koi...


ujda hai jis tarha se ghar fatema ka shahid

ujda na koi aise aale abaa ke baad

hogi na inteha koi...