hogayi kazim pe jafa haaye haaye
zehr sitamgar ne diya haaye haaye
zeest me unko na rehai mili
mar ke hue shah reha haaye haaye
laash uthi shaah ki zindaan se
zulm ye bekas pa hua haaye haaye
laash ko rakkha pule baghdaad par
zulm ye haroo'n ne kiya haaye haaye
rehgayi begor musafir ki laash
ghuslo kafan tak na diya haaye haaye