kaise pardes mai kazim pe zamanay aaye
haye mazdoor janazay ko uthaney aaye
1. chord aye hai najaf aur madina saaren
tu lawaris nahi zahra kay aye betay pyaare
aa mera laal tujhe saare lejane aaye
2. hogayi qaid khatam musa kazim mere
qaidkhane se nikal aao mai sadqay tere
baqiya wale hai tera sog banane aye
3. aap zinda'an mai hai ghar mai hai sog bapa
betiyaan musa e kazim ki yeh deti hai sada
kaash kay baba humay seenay lagane aaye
4. qaid main kehte rahe sathway mere imam
haye kazim ya sakina ho ya baghdad ya shaam
hum toh nana hai tera deen bachane aaye