Abbas Main Tanha Hu Abbas Main Tanha Hu
Saahil Ki Taraf Dekh Ke Bole Shah-e-Wala
1.Tum Jabse Gaye Bhai Todhti Hai Kamar Meri
Dhundhala Gayi Akber Ke Jaane Se Nazar Meri
Ab Koun Mujhe Bolo Aada Se Bachayenga
Abbas Main Tanha Hu Abbas Main Tanha Hu
2.Tum Lakhou Pe Bhaari They Aaye Jaan-o-Dil-e-Hyder
Har Rukhse Tane Tanha Shabbir Ke They Lashkar
Is Alam-e-Gurbat Me Ab Koi Nahin Mera
Abbas Main Tanha Hu Abbas Main Tanha Hu
3.Amma Ne Meri Mujhku Sopa Tha Bhai
Mamoor Hifazath Par Rakha Tha Tumhe Bhai
Tum Par Meri Amma Ku Is Darja Bharosa Tha
Abbas Main Tanha Hu Abbas Main Tanha Hu
4.Cheenega Sakina Ke Kaanou Se Laayen Ghouhar
Marenga Tamache bhi Bachi Ku Meri Khudsar
Tum Honge Na Main Honga Us Waqt Mere Bhaiya
Abbas Main Tanha Hu Abbas Main Tanha Hu
5.Mehmaan Hu Kuch Dum Ka Maidan-e-Shujayath Me
Kat jayenga Sar Mera Ab Sajde Ki Halat Me
Hojayanga Ab Pura Bachpan Ka Mera Wada
Abbas Main Tanha Hu Abbas Main Tanha Hu
6.Uthta Hai Sarou Se Jo Abbas Karam Teera
Aafat Me Musibath Me Hai Alhe Haram Bhaiya
Ab Koun Mere Ghar Ku Jalne Se Bachayenga
Abbas Main Tanha Hu Abbas Main Tanha Hu