Kanz e Aza

ya ali ya husain

A noha (2009). Lyrics in Roman Urdu.

Allah) x3

(Allah hi Allah) x4

Tu hi tu Allah

Allah tu hi tu Allah

Tu hi tu Allah

Jo mohammad ka wafadar he Allah uska, karbala uski, najaf uska, madina uska, zindagi he to bas Ali ki tarha, maut aye to ya hussain hussain

(Ya hussain) x6


(Ya Ali ya hussain) x4


1. (Awaaze Muhammad ka asar khatm na hoga) x2


Thak jaayega suraj ye safar khatm na hoga

(Ya Ali ya Hussain ) x3


2. La raib pe rasool ki donon he zebo zen

Pehlu mein ya Ali he to (godi me ya Hussain) x2

Loho qalam ka ilm ka sadiq he ya Ali

Jab tak khuda ka mulk he (malik he ya Hussain) x2

Ye ilm ka dar sabr ka ghar khatm na hoga


(Thak jaayega suraj ye safar khatm na hoga) x2


3. Ye saltanate ishq hai khuddar milenge

Salmano abuzar se (wafaadar milenge) x2

Qasim yahan mesum se jigar taar milenge

Jeene ke liye marne pe (tayyar milenge) x2

Kat jaye zaban ishq magar khatm na hoga


(Thak jaayega suraj ye safar khatm na hoga) x2


4. Muslim bine Aqeel safeere hussain he

Hubbe ali he dil mein (masheere hussain he) x2

Who baadshah aur ye wazeere hussain he

Aisa wazeer he ke (faqeere hussain he) x2

Ta hashr sifarat ka safar khatm na hoga


Thak jaayega suraj ye safar khatm na hoga

(Ya ali ya hussain) x3


5. Hur ko sakhi hussain ne aali bana diya

Aisa ke panjatan ka (sawaali bana diya) x2

Nade ali ne isko jalali bana diya

Rumale fatema ne (missali bana diya) x2

Ye dar he ataaon ka ye dar khatm na hoga