tum pe laakhon caroron durood o salaam
ya hussain
ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain
mere sayyed hussain mere pyase hussain
mere aaqa hussain mere maula hussain
tum pe laakhon caroron durood o salaam
ya hussain...
tu ne bachpan ka waada wafa kar diya
naam e allah apna bhara ghar diya
tera ehsaan hai deen par
keh rahe hai ye jinn o bashar
matami de rahe hai jabhi ko sada
mere sayyed hussain mere pyase hussain
mere aaqa hussain mere maula hussain
tum pe laakhon caroron durood o salaam
ya hussain...
ek tu hi mahafiz hai quran ka
pesh tohfa kare tujhe hum jaan ka
har azadaar maange dua
ta qayamat rahe karbala
zindagi hai hamari ye farshe aza
mere sayyed hussain mere pyase hussain
mere aaqa hussain mere maula hussain
tum pe laakhon caroron durood o salaam
ya hussain...
ye dua hai hamesha moharram rahe
hum rahe na rahe tera matam rahe
door karta rahe sab ke gham
yunhi lehraye tera alam
baant'ti hai wafa ek alam ki hawa
mere sayyed hussain mere pyase hussain
mere aaqa hussain mere maula hussain
tum pe laakhon caroron durood o salaam
ya hussain...
kyun na likhe ye haq baat mera qalam
tere dam se hai islam ke dam mein dam
haq yehi hai khuda ki qasam
likh raha hai jo mera qalam
yani kaabe se afzal hai karbobala
mere sayyed hussain mere pyase hussain
mere aaqa hussain mere maula hussain
tum pe laakhon caroron durood o salaam
ya hussain...
chal rahe hai hussaini teri raah par
mar ke jeene ka tu ne sikhaya hunar
tere jaisa nahi hai jari
keh rahe hai abhi tak ali
aur awaaz deta hai deen e khuda
mere sayyed hussain mere pyase hussain
mere aaqa hussain mere maula hussain
tum pe laakhon caroron durood o salaam
ya hussain...
yaad hai har ghadi bas hamay karbala
karte rehte hai din raat ye tazkira
saari dunya ke gham bhool kar
farshe matam pe hai nauha gar
beh rahi hai har ek aankh se alqama
mere sayyed hussain mere pyase hussain
mere aaqa hussain mere maula hussain
tum pe laakhon caroron durood o salaam
ya hussain...
tere akbar ke seene pe naiza laga
teer se tere asghar ka cheda gala
tere qasim ko tukde kiya
tera bemaar qaidi bana
tere ghazi ko darya pe maara gaya
mere sayyed hussain mere pyase hussain
mere aaqa hussain mere maula hussain
tum pe laakhon caroron durood o salaam
ya hussain...
tere qaime jalaye gaye dasht mein
tere atfaal pyase rahe dasht mein
tere asghar ka jhoola jala
teri zainab ki cheeni rida
subhe ashoor se shaam tak ghar luta
mere sayyed hussain mere pyase hussain
mere aaqa hussain mere maula hussain
tum pe laakhon caroron durood o salaam
ya hussain...
shadman mujhse honge ali o nabi
umr bhar nauhe likhega mazhar yunhi
ek pal na rukega qalam
jab talak hai mere dam mein dam
mera har lafz deta rahega sada
mere sayyed hussain mere pyase hussain
mere aaqa hussain mere maula hussain
tum pe laakhon caroron durood o salaam
ya hussain...