Kanz e Aza

Yani Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

darbar e hussaini ali ke laal ka dar hai


yahan jo maango wo mil jaata hai

ek naam hai jo kaam aata hai

zehra ki dua kehlaata hai

chauda sadiyon se dunya pe

jis ka parcham lehrata hai

ay matam daaro mere saath pukaro

tu hi raasta hai ya hussain

baab e karam saqqa e haram

har taote dil ki aas ka yani abbas ka


maula ye juloos e ashoora ye majlis aur ye matam

ye ishq dilon se na ho kam sar un ka rahe ooncha har dam

jo log uthaate hai parcham

jab aaya moharam har ankh rahe nam hota rahe matam

tu hi raasta hai ya hussain

mashk alam taboot sabeel aur pani darya pyaas ka

yani abbas ka yani abbas ka...


har aat moharam jo shehzaade karte hai saqqai

tere ghazi ke hai shedayi ay saani e zahra ke bhai

aabad rahe wo maulai

jo mashk utha kar kehte hai ye ro kar haazir hai ye naukar

tu hi raasta hai ya hussain

karbobla mein pyase bachon ke jeene ki aas ka

yani abbas ka yani abbas ka...


dunya ki buri nazron se bachaye rakhna ibne hyder

hum farshe aza ke hai naukar wo nauhakhwan ho ya shayar

tera khaas karam hai un sab par

ye girya o zaari rahe jaari o saari naslon mein hamari

tu hi raasta hai ya hussain

apne har zaakir pe rakhna tum saaya wan'naas ka

yani abbas ka yani abbas ka...


maula ho salam un behno par jo khaali jholiyan le kar

aati hai tumhari chaukat par faryad wo karti hai ro kar

maula ho ata ek aisa pisar

roz e ashoora kare khoon ka pursa armaan hai mera

tu hi raasta hai ya hussain

mohsin ban ke zehra ke ghar jo aaya us khaas ka

yani abbas ka yani abbas ka...


jab bhi ye dua karta hoo behno ke sar par rahe chadar

yaad aata hai zainab ka sar bazaar mein jab wo bechadar

kehti thi dekh ke aap ka sar

quran sunao zara dhyaan batao mera saath nibhao

tu hi raasta hai ya hussain

naize se jo khaak pe girta rehta hai us raas ka

yani abbas ka yani abbas ka...


beti ko mila ek din zindan e shaam mein baba ka sar

kaisa tha qayamat ka manzar sar saamne baba ka rakh kar

boli ye sakina ro ro kar

meri jaanib dekho zara aankhein kholo baba kuch bolo

tu hi raasta hai ya hussain

neele rukhsaaron ka gohar chinne ke ehsaas ka

yani abbas ka yani abbas ka...


apne zawwaron ki fehrist mein likhdo naam hamara

ay bali sakina ke baba zeeshan ho ya irfan e aza

karte hai yehi ro ro ke dua

zawwar bana do ab jald sada do darbar dikha do

tu hi raasta hai ya hussain

karbobla tehreer hai jis pe maula us kirtaas ka

yani abbas ka yani abbas ka...