virde zaban hai ek pyase ki kahani
muztarib dajla ka pani
sawa naize pe suraj aa gaya har soo dhuan hai
ro rahe hai pyase bache alqama bhi door hai
ye roze ashoor hai ye roze ashoor hai
har taraf bikhre hai laashe sar kahin baazu kahin
aasman se khoon barsa khoon ugalti hai zameen
ambiya hai mahwe matam karbala hai soghwaar
ek pyase ke galay par shimr ke khanjar ki dhaar
rayt ke teele pe zainab hai magar majboor hai
ye roze ashoor hai...
kya yehi hota hai logon ek musafir se suno
saathvi se band pani aath pehron ki hai bhook
iski ghurbat par to roye zulm bhi aur sabr bhi
mayyatein bhi khud uthayi khud banayi qabr bhi
jism hai teeron se chalni dil ghamon se choor hai
ye roze ashoor hai...
zindagi ke maalikon par zindagi hai nauhakhan
bayn karte hai kanare alqama mehwe fughan
ro rahe hai zinda laashe mayyaton par sar nahi
kya kare kisko bulaaye wo ke jinke ghar nahi
maut khud karti hai matam zindagi na-soor hai
ye roze ashoor hai...
jis taraf uthe nigahein bas yehi aaye nazar
be badan laashe sina par teer talwar o tabar
dasht ki jalti zameen par baithe hai ahle haram
ek sakina ek baqir chand bache mehwe gham
aur musafir keh raha hai sab mujhe manzoor hai
ye roze ashoor hai...
baant'ta the dhoop suraj aaj kyun gahen aa gaya
ek libaase sog saare dasht ko pehna gaya
usne dekha ek beta jiska bigda bakht hai
waarise shabbir hai aur wo imame waqt hai
aaj wo bemaar bhi hai bekas o ranjoor hai
ye roze ashoor hai...
kis khadar pur noor laashe reh gaye jo bekafan
ek hamshakle payambar ek qasim gulbadan
hai kahin aun o mohamed aur kahin hai bezaban
so gaya darya pe jaake bekason ka paasban
inke gham mein asmaan par chaand bhi be-noor hai
ye roze ashoor hai...
nauhakhan irfan haider maadare shabbir bhi
kya masayib aaj likhe tune mazhar abidi
beridayi bikhre laashe aur ye jalte qayaam
aa gaye kaghaz pe jaise dasht ke manzar tamaam
lafz hai ya jalte qaime har satar ashoor hai
ye roze ashoor hai...