Kanz e Aza

Zainab ka Dil

A noha for Darbaar e Shaam, written by Mazhar Abidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

shaam aaya zainab ka dil ghabraya

bin chadar bibi ne chehra baalon se chupaya


ye kisne kaha ke karbal mein sadaat ke qaime jalte hai

aulaad e umayya ne logon quran jalaya

zainab ka dil ghabraya

shaam aaya zainab ka dil...


makhdooma e aalam ki beti ye soch ke nauha karti hai

pardes mein ummat ne haye ye din bhi dikhaya

zainab ka dil ghabraya

shaam aaya zainab ka dil...


ghairat ka khuda khoon rota hai maa behne phupi hai be-chadar

chadar ka sawali abid ko ummat ne banaya

zainab ka dil ghabraya

shaam aaya zainab ka dil...


kulsoom aur zainab ko ghazi sar nange bhala dekhe kaise

sar noke sina se ghazi ka jab khaakh pe aaya

zainab ka dil ghabraya

shaam aaya zainab ka dil...


zanjeer hilaate hai zaalim durre bhi lagate hai zaalim

sone nahi dete abid ko faryaad khudaya

zainab ka dil ghabraya

shaam aaya zainab ka dil...


sadqe ke khajooron se jis dam saadat ka isteqbal hua

jab shaam ke rehne walon ne bazaar sajaya

zainab ka dil ghabraya

shaam aaya zainab ka dil...


hai safdar o mazhar nauha kuna ek ek masayeb padte huwe

saydaniyan sab thi beparda aur des paraya

zainab ka dil ghabraya

shaam aaya zainab ka dil...