Kanz e Aza

Zainab ke Khule Sar Pe Hay Khaak Padi Hai

A noha for Darbaar e Shaam. Lyrics in Roman Urdu.

Zainab ke khule sar pe hay khaak padi hai

roti hui shabbir ke..(2) laashe pe khadi hai


1. Ghabrai hui shimr ke tango se hai zainab

kehti thi aur shame..(2) ghareeba ki dari hai


2. Fizza ne ye roke kaha sajjad se jakar

zainab sare uryaan hai..(2) aur bheed badi hai


3. Zainab gai darbar me islam ki khatir

darbaro me bazaro me..(2) hai jung ladi hai


4. Akhtar jo ghume saniye zahra me hai rota

wo roze jaza naare..(2) jahannum se bari hai

Haye zainab haye bazaar..(2)