maare gaye sab ansaar e hussaini
faraat behti hai bala ki garmi hai
hai mutmain teen din ka pyasa
qayaam e sadaat se musalsal
sada ye aati hai
hussain ya hussain hussain ya hussain
hai karbala mein hussain tanha
khuda khair kare khuda khair kare
hai karbala mein hussain tanha
ye asr e ashoor hai ye asr e ashoor hai
hussain ya hussain hussain ya hussain
takte hai suye aasman
jaari hai kuch wirde zaban
chehre pe asghar ka lahoo
ab mar chuke shaah e zaman
hai dhoop sar par nahi hai saaya
ye asr e ashoor hai...
abbas ke baazu kate
qasim ke tukde hogaye
akbar ka seena chid gaya
aun o mohamed na rahe
kise pukare ghareeb e zehra
ye asr e ashoor hai...
teer o tabar ke waar se
maara kabhi talwaar se
haye qayamat hogayi
jab wo gira rahwaar se
na zeen par na zameen par tha
nabi ka shehzada
ye asr e ashoor hai...
laashe utha kar thak chuka
laakhon ne hai ghera hua
hai khoon ke pyaase sabhi
aa kar bacha lo fatema
lahoo mein tar hai tumhara beta
ye asr e ashoor hai...
jab shimr ka khanjar chala
kat kar gira sookha gala
tha bhai aur hamsheer mein
sattar qadam ka faasla
na jaane zainab ne kaise dekha
ye asr e ashoor hai...
ye arsh se aayi sada
raazi hoo mai aa laut aa
talwaar rakh kar niyam mein
palte jo shaah e karbala
ali ke bete ko sab ne maara
ye asr e ashoor hai...
zeeshan o irfan e aza
royi zameen e karbala
jab shimr sar shabbir ka
qaimon ki jaanib le chala
tadap raha tha zameen pe laasha
ye asr e ashoor hai...