Kanz e Aza

Ye Kaun Karbala Ko Kaaba Bana Raha Hai

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Tauheed Ko Yeh Kiska Sajda Bacha Raha Hai


Aayat Hai Rasan Main Bikre Hue Hain Paaray (x2)

Naizay Pey Aaj Quriyan, Qur’an Sunaraha Hai


Beton Ko Daike Sadqa Aur Behnon Ki Ridaain (x2)

Rozay Azal Kiya Jo Waada Nibha Raha Hai


Jiskay Galay Kay Bosay Letay Thay Khud Muhammad (x2)

Zalim Usi Galay Pay Khanjar Chala Raha Hai


Maqtal Main Istarha Say Bikra Yateem Qasim (x2)

Chun Chun Kay Tukray Maula Laasha Bana Raha Hai


Aagosh Main Jo Maa Ki Sota Tha Pyaara Asghar (x2)

Aagosh Main Lahed Ki Baba Sula Raha Hai


Mujkho Tamachay Maray Kanon Say Durr Hain Cheenay (x2)

Ab Has Kay Mujhko Zalim Tera Sir Dikha Raha Hai


Jab Tak Rahe Gi Duniya Roshan Rahe Gi Shahid (x2)

Shabeer Jo Lahoo Say Sham`may Jala Raha Hai