saaqi al atash e abal fazlil abbas
ya abal fazlil abbas
darya pe jao mere bhai pyason ko tum se hai aas
ya abal fazlil abbas
kehti hai mujhse bali sakina layenge pani chacha
hukme imamat ke muntazir hai dedije izne wigha
ab tum bujhao mere ghazi bali sakina ki pyaas
ya abal fazlil abbas...
haathon may sookhe kooze uthaye karte hai pyase buka
hai sab ki dhaaras teri bhatiji aur uski dhaaras chacha
kehti hai meri tashnagi ka ammu ko hai ehsaas
ya abal fazlil abbas...
kaandhe pe rakh ke mashk o alam qaime se nikla jari
manzar ye saara zainab ne dekha bachon se kehne lagi
layega mashk bhar ke ghazi sab ki bujhane ko pyaas
ya abal fazlil abbas...
ahle sitam ne ghazi ko ghera barsaye teer o tabar
pani baha to do baazu apne sadqe kiye mashk par
saqqayi jab na kar saka wo kya aata pyason ke paas
ya abal fazlil abbas...
pushte faras se aaya zameen par aaqa ko de kar sada
bhai ko bhai ne dekha jis dam maula ne ro kar kaha
yun chod kar na mujhko jao tum hi ho meri asaas
ya abal fazlil abbas...
qaimon may mera laasha na jaaye ghazi ke thay ye sukhan
thaama kamar ko ye baat sun ke roye shahe zulmanan
bekaar hoga mera jeena tum hi rahe jab na paas
ya abal fazlil abbas...
mazhar shahe deen le kar alam ko qaime ki jaanib chale
safdar labon par ye marsiya tha abbas ab na rahe
tooti kamar meri haye tooti haram ki bhi aas
ya abal fazlil abbas...